Ager Kuchh naam daina ho …
Mujhay Insaan Matt kehna …
Judaa Chehray, Juda bay-shak sabhi ke kaam hotay hai’n …
Magar Insaaniyat ke abb yahaa’n per daam hotay hai’n …
Mere Tum daam matt Dena …
Mujhay ye naam matt Daina …
Agar kuchh naam daina ho ..
Mujhay Ehsaas keh daina …
Magar thehro! …
Mujhay Ehsaas Matt Kehnaa …
Mera Buss Naam reh jaay mujhay aisay nahi’n rehnaa …
Mujhay Ehsaas Matt kehnaa …
Ager kuchh naam daina ho, Mujhay saawan he keh daina …
Magarr Thehro…!
Mujhay saawan nahi’n kehnaa …
Barasta hai magar rut ke badaltay beet jaata hai …
Mujhay Saawan nahi’n kehna …
Ager kuchh naam daina ho, mujhay aansoo he keh daina …
Janam laina kisi ki aankh mai’n, rukhsaar per marna …
yahi jis ki haqeeqat hai …
Chalo aansoo he keh daina …
Magar daikho …
Kisi ki aankh mai’n Mujh ko kabhi aanay nahi’n daina …
Ke qeematt aansoo’on ki abb adaa tum se nahi’n ho gee …
Nahi’n tum yu’n nahi’n kehna …
Mujhay Aansoo nahi’n kehnaa …
Mujhay aankho’n mai’n bastaa ik hasee’n sapnaa he keh daina …
Ke sapnay aankh mai’n taaro’n ki tarhaa jhilmilaatay hai’n …
Magar Thehro…! .
Mujhay sapnaa nahi’n kehnaa…
Ke sapnay toot jaatay hai’n …
Mujhay Apnaa Nahi’n Kehna …
Ke apnay rooth jaatay hai’n …!!!