~*~Agarchay humm jaa rahay haiN Mehfil say naala-e-dil figaar bunn kar~*~

Agarchay humm jaa rahay haiN Mehfil say naala-e-dil figaar bunn kar
Magar yaqeen hai kay lauT aaieN gey naghma-e-nau bahaar bunn kar

Yeh kiya Qiyamat hai baaghbaano! kay jinn kee khaatir bahaar aaiee
Wohi shagoofay khaTak rahay haiN tumhaari aankhouN maiN Kaar bunn kar

JahaaN waalay hummaaray geetouN say jaaizah laiN gey siskiyouN kaa
JahaaN maiN phel jaaieN gey hum bashar bashar kee pukaar bunn kar

Bahaar kee budd-naseeb raataiN bulaa rahi haiN challay bhee aao
Kissi sitaaray kaa roop lay kar kissi kay dil kaa qaraar bunn kar

Talaash-e-Manzil kay marhalouN maiN yeh haadisaa ik ajab dekhaa
Fareb raahouN maiN beTh jaataa hai soorat-e-aitebaar bunn kar:slight_smile:

Ghuroor-e-masti nay maar daalaa wagarnaa humm loug jee hee laitay
Kissi kee aankh kaa noor ho kar, kissi kay dil kaa qaraar bunn kar

Diyaar-e-MughaaN maiN aa kar yeh ik Haqeeqat khuli Saaghar
Khudaa kee basti maiN rehnay waalay tau looT laitay haiN Yaar bunn kar :slight_smile:

– Saaghar Siddiqui

buhet khoob :k: :k: :k:

Zabardast…:flower1:

Diyaar-e-MughaaN maiN aa kar yeh ik Haqeeqat khuli Saaghar
Khudaa kee basti maiN rehnay waalay tau looT laitay haiN Yaar bunn kar

beautiful.. :k:

[QUOTE]
Khudaa kee basti maiN rehnay waalay tau looT laitay haiN Yaar bunn kar
[/QUOTE]

Lut jao aur aah tak na bharo ;)

very nice:k:

SUPERB :k:

Nice :k:

Re: ~~Agarchay humm jaa rahay haiN Mehfil say naala-e-dil figaar bunn kar~~

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *

Bahaar kee budd-naseeb raataiN bulaa rahi haiN challay bhee aao
Kissi sitaaray kaa roop lay kar kissi kay dil kaa qaraar bunn kar

-- Saaghar Siddiqui
[/QUOTE]

Beautiful poem.I had to read it a few times...uh you know my urdu.But definately a great poem.

achi hey!

last shair bohat accha hai :wink:
thanks for sharing AQ gi :flower1:

nice

lajwab:k:

:) yeah it must be one of ur favourits.

Talaash-e-Manzil kay marhalouN maiN yeh haadisaa ik ajab dekhaa
Fareb raahouN maiN beTh jaataa hai soorat-e-aitebaar bunn kar

v nice thanks for shrin Aq..:)

Wah ji AQ gr8 one ...

:)

Thank you all :p