Agar

Wah. Apka idea to bohat munfarid hai. Mujhey andaza tha ke aap jesi Zaheen dosheeza koi achoota idea hi lekar aaingi :k:

Lekin GS ka ZanaanKhana our ***MardaanKhana ***alag karney ke jahaan besh-baha fawaid hain waheen kuch Nuqsanaat bhi hian

Maslan : Kuch forum jaisay Fashion beauty , weddiing , life & Relationship … jahaan khwateen bohat josh-o-kharosh se shirkat karti hain wahan aksar dekha gaya hai ke un ke darmeyaan talakh kalami our **LaRayee **bhi hojaati hai :frowning:
:chai:

In laraeyon main aksar female mods bebas our lachaar nazar aati hain.

Main guzarish karoonga ke mujhey Raat ki shift ke saath , Din ki shift ka bhi incharge bana dia jaye takey main in khwateen main sulah safaye karwa sakoon our forum ka mahol Khushgawar rahey :rose: