Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai

Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao gay
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai

Re: Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai

bikharne ke numaish ! :hmmm:

Re: Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai

**To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai

:hmmm: aap ne apne paas thresher lagaya huwa hai ya ghaas katne wali machine?
**

Re: Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai

Misaal dy k Shikhana/batan paRta hy Baaz dafa…

Her wo Ozaar jis sy kaam nikal sakay…:hehe:

Re: Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai

misaal teaching mai hoti hai :hehe:

Re: Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai

Insaan ka Her Lamha Seekhny/Seekhany mein Guzarta hy…:slight_smile:

Re: Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai

ker dee na philosophical baat :bummer:

Re: Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai

:hmmm:

Ye nuqte bhi tafkeer k haqdaar hain :hehe: