Agar Woh Panchi Kabhi Koi Dastan Sunayien To Lot Aana

Udaas Shamein Ujar Raastay Kabhi Bulayein To Lot Aana
Kisi Ki Aankhon Mein RatJagon K Aazaab Aayein To Lot Aana

Abhi Nayi Wadiyon Naye Manzaron Mein Reh Lo Magar Meri Jaan
Ye Saaray Ek Ek Kar K Jab Tum Ko Chor Jayein To Lot Aana

Jo Sham Dhaltay Hi Apni Apni Pana Gaahon Ko Lot`tay Hain
Agar Woh Panchi Kabhi Koi Dastan Sunayien To Lot Aana

Mein Roz Yunhi Hawa Pe Likh Kar Us Ki Taraf Bhejta Hon
K Achay Mausam Agar Paharon Pe Muskurayien To Lot Aana

Agar Andheron Chor Kar Bhool Jayein Tum Ko Tumharay Sathi
Or Apni Khatir Apnay Apnay Diye Jalayein To Lot Aana

Meri Woh Baatien Tu Jin Par Be Ikhtiyar Hansta Tha KhilKhila Kar
Bicharnay Walay Meri Woh Baatien Kabhi Rulaien To Lot Aana

hummm
aaaaaa ab lott chalain ...

Palat kar aayegi wo…
Tujhay mil jaaegi wo…

Teri mehboba… teri mehboba…
:slight_smile:

NICE… :k:

hummm Woh to anay janay main hi kharch ho jay gi

zeberdest …bohet khoub:k: :k:

kahaaannnnnnnnnn hoooo tum chalay aaaaaaaaaaaoooooooooooooo mohabbet ka taqaza hay:(