**Agar woh mehrubaN hota,
tu meri aankhoN main na jhilmilati ye nami hoti,
na mery dil ki wadi main khizan ka qafla rukta,
Agar woh mehrubaN hota,
meri be-noor aankhoN main, sitary qaid kar deta,
meri zakhmi hatheli per wo koi phool rakh deta,
mere hoathoN ko apne hathon main lay kar wo ye kehta,
mohbbat roshni hai, rang hai, Khushbo hai, sitara hai,
qasam mujh ko mohabbat ki, mujhay tu sub se pyara hai,
magar aisa wo tab kehta tab kehta
agar woh mehrubaN hota… **