**
Agar woh meharbaan hota
tu meri ankh main
na jhilmilati ye naami hoti
na meray dil ki waadi main
khizaan ka kafla rukhta
agar woh meharbaan hota!
meri beynoor ankhoon main
sitaray qaid kardeta
meri zakhumi hatheli pey
woh koi phool dhar deta
meray hathoon ko apnay haath main lay kar
woh ye kehta…
mohabbat , roshni hai , rang hai , khusboo, sitara hai
kasam mujh ko mohabbat ki
mujhay tu sab say pyara hai
magar aisa woh tab kehta
Agar woh meharbaan hota!!!
agar woh meharbaan hota…!!!**