**Agar usko rula main doon
Umr bhar k liye bhula main duun
Raahon main chhor k us ko
Hijar say us ko mila main duun
Usay mujrim bana kar ek din
Koi dard, ik saza main doon
Usay naey zakhm de kar
Us k dard ki na dwa main doon
Aisa karna to kabhi mumkin nahi
To acha hai usay ab ganwa main doon…!**