~*~ Agar tum se koi mere bare mein poochay tau ~*~

*Khizaoun ki udaasi hai jo ab tak dil pe chaai hai
Bahaaroon ka haseen mausam kaheen se saath lana tum

Yeh maana aur bhi tum ko jahaan mein hain bahut se kaam
Magar duniya ke mailoon mein humein mat bhool jana tum

Mere ash’aar hain jitnay tumhare naam karta hoon
Ghazal meri suno jab bhi ghazal mein doob jaana tum
**
Agar tum se koi mere bare mein poochay tau
Faqat itni si khwahish hai mujhe apna bataana tum …**

Koi jab aliwda-e-mausam ka zikar chairay tau
Nammi aankhoon mein mat rakhna hamesha muskurana tum …

Re: ~~ Agar tum se koi mere bare mein poochay tau ~~

Nice1 :k:

Re: ~~ Agar tum se koi mere bare mein poochay tau ~~

Bohat Khoob Arif..:k:

Re: ~~ Agar tum se koi mere bare mein poochay tau ~~

NICE!