Bohut mudat k bad kal shab,*
kitab-e-mazi ko main nay khola,
Bohat say chehray nazar main utray,*
Bohat say namon pe dil Paseeja,
Ik aisa safha bhi us main aya,*
Likha hua tha jo aansoon say,*
k jiska unwan “sirf tum” tha,*
kuch or ansu phir us pe tupkay,*
phir is say agay main parh na paya,*
Kitab-e-mazi ko bund kar k,*
Tumhari yadon mein kho gaya main,*
Agar tum miltay tu kaisa lagta?*
Inhi khayalon main so gaya main ..!