Agar tum kaho to
Main wo sari batain hawaon say keh don
Jo ankhon he ankhon main hum nay kahi hain
Isharon isharon main hum nay suni hain
Yeh atay jatay huay naram jhonkay
Har ek rastay par meri rah rokay
Kabhi meray balon say gajra gira kar
Kabhi meray shanay ka pallu hila kar
Mujhay iss tarah chairtay hain
K jaisay
Wo sub jantya hon
Agar tum kaho to
Main apni fasrda dili k fasanay
Umandtay huay badlon ko sunadon
Fasanay jo khamoshyon nay sunay hain
Jinhain sun k dewaar-o-dar ro diyay hain
Yeh ras k rasya yeh ghanghor bada
Chupayay huay apni amrit ki chagal
Garaj kar dara kar
meray ghar pay chaa kar
Mujhay iss tarah dekhtay hain
K jaisay
Wo sub jantay hon
Agar tum kaho to
Main wo sari batain hawaon say keh don
Jo ankhon he ankhon main hum nay kahi hain
Magar kio kahon main
K KHAMOSHYON KI EK APNI ZABAN HAI
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
nice sharing :)
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
exactly kehna kya hai.
ps really nice:)
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
nice sharing :)
thx
exactly kehna kya hai. ps really nice:)
kehna to buhat kuch hai
but moqa he nahi milta
thx ashi
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
aap tu bohat baybus sunai detey hain
maine pehle bhi kaha tha mujey batien main aap ka haledil un thak poncha doon ghi.
Re: AGAR TUM KAHO TO…
Nice :k:
Re: AGAR TUM KAHO TO…
where did the smurf go:confused:
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
Nice Sharing!
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
aap tu bohat baybus sunai detey hain maine pehle bhi kaha tha mujey batien main aap ka haledil un thak poncha doon ghi.
app nay koi baat agay peechay kardi to buhat problem hojayegi
Re: AGAR TUM KAHO TO…
thx aabla pa
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
Nice Sharing!
shukriya fara jeeeee
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
nice deadsoul kuch b kahin itna socheye gaa k wo insaan us qabil ho kyunky ye rishta aakhir main bohat dukh deta hai anyways good post
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
bohat khoob deadsoul
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
nice
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
nice deadsoul kuch b kahin itna socheye gaa k wo insaan us qabil ho kyunky ye rishta aakhir main bohat dukh deta hai anyways good post
hmmm
iss qabil to hai woh
aur wese bhi jin ki soul dead hoti hai un pe dukh ka kia asar
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
bohat khoob deadsoul
nice
thx gondal and addie
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
aap tu bohat baybus sunai detey hain maine pehle bhi kaha tha mujey batien main aap ka haledil un thak poncha doon ghi.
mamala khuch serious lagta hai
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
mamala khuch serious lagta hai
kuch nahi buhat
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
kuch nahi buhat
tu phir aap ko kuch karna chayie kyun ke sirf shayri se kaam nahi chale ga
Re: AGAR TUM KAHO TO.................
tu phir aap ko kuch karna chayie kyun ke sirf shayri se kaam nahi chale ga
shayiri ka to kia dhara hai sara