~~Agar tu saath rahe mere rehnuma ki tarhan~~

**
Kabhi hai talkh sa lehja kabhi Saba ki tarhan
Mizaaj apna badalta hai woh hawa ki tarhan

Woh apne aap se begaana kar gaya humko
Ek ajnabi jo mila khaas aashna ki tarhan

Qadam Qadam pe bhatakna qabool hai mujh ko
Agar tu saath rahe meray rehnuma ki tarhan

Hum us ki yaad ko Dil se lagake jee lenge
Bhula sake to bhulade woh bewafa ki tarhan


Ye dasht-e-Hijar , Ye Wehshaat, Ye Shaam k Sayee
Khuda Ye Waqt , Teri ankh ko na Dikhlaye…!!

Kaash Ke Rukh jaye yahin Waqt Ka Dhara
Hoti Chali na Jaye Kahin haar baat Poorani…!!

**

Re: ~~Agar tu saath rahe mere rehnuma ki tarhan~~

:( ...

Re: ~~Agar tu saath rahe mere rehnuma ki tarhan~~

[thumb=H]tears4525_3211386.JPG[/thumb]

Re: ~~Agar tu saath rahe mere rehnuma ki tarhan~~

~ Baad muddat ke miley, lekin miley kuch istarha
Saath milkar muskurana tha keh aansoo aa gaye ~

:(

Re: Agar tu saath rahe mere rehnuma ki tarhan

Very Nice Lamhay… :flower1:

Re: ~~Agar tu saath rahe mere rehnuma ki tarhan~~

bahot khoob.......Lamhay jee...

Re: ~~Agar tu saath rahe mere rehnuma ki tarhan~~

Very nice... Khush rahoo