agar muhabbat yehi hay jaana

**Libas tann se utaar dena…!!
kisi ko bahon k haar dena…!!
Phir uske jazboon ko maar dena…!!

agar muhabbat yehi hay jaana…!!
to “maaf krna mujay nhi hai”…!!

Gunah krnay ka soch lena…!!
Haseen paryan daboch lena…!!
phir uski ankhen he noch lena…!!

kisi ko lafzon k jaal dena…!!
kisi ko jazboon ki dhaal dena…!!
phir uski izzat uchaal dena…!!

agar muhabbat yehi hai jaana…!!
to “maaf krna mujhay nhi hai”…!!

Andhair nagri me chaltay jana…!!
haseen kaliyan masaltay jana…!!
or apni fitrat pe muskurana…!!

saja raha hai har ik dewana…!!
khyal-e-husn o jamal jaana…!!
khyal kya hain hawas ka tana…!!

AGAR MUHABBAT YEHI HAI JAANA
TO MAAF KRNA… MUJHAY NHI HAI…!!**

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

Shairi kay andar kafi utaar charhao hain

Violence ka ansar bhi shamil hai

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

Ye aaj/kal jo mohabbat chal rahi hy us sy nafrat ka izhaar hy.........

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

sach kaha :k:

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

**Libas tann se utaar dena…!!
kisi ko bahon k haar dena…!!
Phir uske jazboon ko maar dena…!!
agar muhabbat yehi hay jaana…!!
to “maaf krna mujay nhi hai”…!!

:eek:
**

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

Thora sa aur describe kernay ki dair thee ... ;)

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

shayar to Wasi Shah ka bhi guru nikla

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

**AGAR MUHABBAT YEHI HAI JAANA
TO MAAF KRNA.... MUJHAY NHI HAI....!!

yahan JAANA ka kya matlab hai
**

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

dafa ho jana :p

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

aisi mohabat karnay walay/wali ko dafa door karna hi behtar hai

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

Kia howa Bro…Mun Q khula ka Khula reh gaya…?
Shadi ker hi lo ab to…bohat ho ga`e…

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

Ghalat farmaya Aap ny...........

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

mujhe lagta hai biviyan bhi miyan ko yehi kehti hongi... baaz aae hum aisi muhabbat se.. maaf karna mujhe muhabbat nahin

Re: agar muhabbat yehi hay jaana

sirf monh hi nahin aankhein bhi