Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho.......

Taree zulfain bakharnay ko ghata kah doo to kaisa hoo
Taray aanchal kay urnay ko saba kah doo to kaisa hoo

Bazahar chup ho lakin phir bhee aankhoo main hain afsanay
Taree khamoshiyon ko bhee sada kah doo to kaisa hoo

Maray shikway shikyat par bhee mujh say pyar kartee ho
Taree chahat ko main sab say juda kah doo to kaisa hoo

Taree yadain maray dil par ajab sa shor kartee hain
Taree yadoo ko gar main aik nasha kah doo to kaisa hoo

Tumharay bin mujhay jeena bara dushwar lagta hai
Tumhain main apnay jeenay kee waja kah doo to kaisa hoo

Jo tum naraz na ho to mujhay aik bat kahnee hai
Agar main pyar say tum ko wafa kah doo to kaisa hoo…

2 Likes

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

:dhimpak:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho.......

Tumharay bin mujhay jeena bara dushwar lagta hai
Tumhain main apnay jeenay kee waja kah doo to kaisa hoo

Jo tum naraz na ho to mujhay aik bat kahnee hai
Agar main pyar say tum ko wafa kah doo to kaisa hoo....

Awesome Sharing Dear............
Achee Ghazal hai kisee ko send karnay k kaam aay ge:D

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

wow very nice me likeee :k:

but I haven’t seen your entry in ghazal contest :asa:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

:asa:

Nice Sharing MM :k:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

LOL…
Bro ye Danda kis k liay hai?:faizy:
MM kay liay na:cb:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

Nahin :snooty:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

**Wah **
**Bohat Khoob **
Very Nice :k:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho.......

Boot khoob...muqarrar...muqarrar...

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

Wafa Altaf Bhai Ki Daughter Ka Naam Hai Mat Kehna :hehe: warna nateeja tum jaanti he ho :stuck_out_tongue:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho.......

beautiful sharing mm ap ko b star mil gaya meray ko keon nahi milta :(

2 Likes

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

**Very Nice MM **:k:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho.......

^ smile ap me k peechay peechay keoN :p

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

^ main aap k peechay peechay to nai hon :snooty:
aap mujh se agay agay hain :smack

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

Bohat khoob Muskaan..:k:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

:cb: me samji ap peechay peechay :slight_smile:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho.......

aap galat samjah rahi thi :p

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

Nikami jo huiwe :bummer:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho…

ab is main nikama pun kaha se tapak aya :smilestar:

Re: Agar meyn piar sei tumko wafa keh don to keysa ho.......

buhat achay MM
but tumhain yeh samjh ayi k nahi