agar koee do mil kar ek ho saktay hain to hum hain

agar koee do mil kar ek ho saktay hain to hum hain
agar bewee ka meeyaan se pyaar hota hai to tum se hai
agar koee aurat apnay meeyan se khus rehti hai
to sub aurto mujhay dekho main kitni khush hoon
tumaray pyaar ki keemat sonay ki khaanon se
ya mashrak ki sab dolat se bhi zyadda hai
meray pyaar ki pyass koee bhi dariya
nahin bhuja sakta hai
lakin main tumaray pyaar se
hamesha bhari rehti hoon
isay kabhi nahin lauta sakti
is liyay jab hum pyaar main zinda hain
chalo apni mohabbat ko barayay rakhein
ta k jab hum dum na lay sakain gay
to mohabbat main jeetay rahain gay

tr. Tanzan Senzaki
The original poem, To My Dear and loving Husband, is
by Anne Bradstreet (1612-1672), An English Poetess

Re: agar koee do mil kar ek ho saktay hain to hum hain

very nice