Agar kabhi meri yaad aaye
Tu chaand ratoon ki dilgeer roshni main
Kissi sitarey ko deekh laina
Agar wo nakhal falak se ur ker tumharey kudmoon main aa gerey tu ye ja laina
Wo istiara tha merey dil ka
Agar na aaye ? _ _ _ _
Magr ye mumkin hi kis tarah hai ke kissi per nigaah dalo
Tu us ke dewaar e jaan na tutey
Wo apni husti na bhool gaye !!
Agar kabhi meri yaad aaye
Gureez kerti hawa ki lehroon pay haath rakhna
Main khusbo’on mein tumhe miloon ga
Mujhe gulaab ki pate’oon main talaash kerna
Main udaas kutra ki aainey main tumhe miloon ga
Agar sitaaroon main, oos khusbo’on main
Na pa’o mujh ko
Tu apney kudmoon main deekh laina
Main gird musafatoon main tumhe miloon ga
Kahin pay roshan charagh dekho tu jaan laina
Ke her patangey ke saath main bhi sulag chukka hoon
Tum apney haathoon se un patangoon ki khaak derya main d’aal dena
Main khaak ban ker samandar main safar karoon ga
Kissi na dekhay howay jazeeray pay ruk ke tumhe sadayein doon ga
Samanduroon ke safar pay niklo
To us jazeeray pay kabhi uterna !!!