**agar kabhi meri yaad aaey
to chand raatoan ki narm dil gir roshni main
kisi sitaray ko daikh laina
agar wo nakhl-e-falak say urr kar tumharay kadmoan main aa giray to
ye jaan laina
wo ista’ara tha mere dil ka
agr na aaey?
magar ye mumkin hi kis trah hai
k tum kisi pe nigaah dalo
to uski diwar e jaan na tootay
wo apni hasti na bhool jaey
Agar kabhi meri yaad aaey
guraiz karti hawa ki lehroan pe hath rakhna
main khushbuon main tumhain miluun ga
mujhy gulaboan ki pattiyoan main talash karna
main oas Qatroan k aainoan main tumhain miluunn ga
agar gulaboan main, oas qatroan main ,khushbuon main na paao mjhko,
to apnay kadmoan main daikh laina
main gird hoti musaftoan main tumhain miluun ga
Kabhi jo roshan charagh daikho
to jaan laina!
k har patangay k saath main bhi bikhar chuka huun
tum apnay hathoan say in patangoan ki raakh darya main daal daina
main khaak bann kar samandroan main safar karuun ga
kisi na daikhay huey jaziray pe rukk k tum ko sadaaen duun ga
SAMANDROAN K SAFAR PE NIKLO
TO US JAZIRAY PE BHI UTARNA…
Agar kabhi meri yaad aaey**