Yeh soch kar ke na ho taak mein khushi koi
Ghamoon ki oout mein khud ko chupa liya mein ne
Kabhi na khatm kiya mein ne roshni ka safar
Agar chiraag bhuja, dil jalaa liya mein ne
Kamaal yeh hai ke jo dushman pe chalaana thaa
Woh teer apne kaleejay pe khaa liya mein ne
Mein kya karoon is dil pe zor nahee chalta
Jissay dushman banaana thaa, ussay dilbar banaa liya mein ne…