Agar Awaz Denay Se
Agar Wapas Bulanay Se
Agar Maghmoom Honay Se
Agar AaNsoo Bahanay se
BichaR Jaanay Waalay…Loat Aatay hain…
Tou Hum Awaz De Laite
Buhut AaNsoo baha Letay
Samay Ko Roak Bhi Letay
Aur Waqt Ko Qaid Kar letay
Unhain PalkooN Ki Chilman MaiN Chuppa Letay
Unhain… Dil MaiN basa Laitay
Unhain Jaanay NaheeN detay.
MAGAR…
Jaatay Huye LoogooN ko Jana Hay
UnhaiN Apna Muqaddar Aazmana hay
UnhaiN Jitna bhi hum Rokain
Magar… Unko Tou jana Hay
So Humne Soach Rakha Hay
Ke Unko Naik Bakhti Ki DuaaiaN DaiN
Humaray Paas guzray MosamooN ki chand SubhaiN HaiN
Wo Unke Naam Kartay HaiN
Humaray Paas Kuch Ikhlaas hay
Mehki DuaaiaN haiN
Wo Unki Nazr Kartay haiN
Agar Nazm Main Koi Ghalti Ho Tou shair Se Maafi Ke Saath…