**“Agar Aurat Naa Hoti!!!”
Agar Bazm-e-Insaan mein Aurat naa hoti
khayaalo ki rangeen jannat naa hoti
…Sitaaro ke Dilkash Fasaane naa hote
Bahaaro ki naazuk haqeeqat naa hoti
Jabeeno pe Noor-e-Masarrat naa hota
Nigaaho mein Shaan-e-marrawwat naa hoti
Ghataao ki Aamad ko Saawan taraste
Fizaao mein Behki Baghaawat naa hoti
Faqeero ko Irfaan-e-Hasti naa milti
Ataa Zahido ko ibaadat naa hoti
Musaafir sadaa manzilo par bhatakte
Safeeno ko saahil ki qurbat naa hoti
Har ik phool ka rang pheeka sa hota
Naseem-e-bahaaraan mein nikhat naa hoti
Khudaayi ka Insaaf Khaamosh rehta
Sunaa hai kisi ki shifa’at naa hoti**