nazar wo hai ke jo kauno makan ke paar ho jaaye
magar jab ruh-e-taabaN par pade bekaar ho jaaye
nazar us huSn par thahre to aakhir kis tarah thahre
kabhi jo phool ban jaaye kabhi rukhsaar ho jaaye
chala jaata hoon hansta kehlta mauj-e-hawadish se
agar aasaaniyan ho zindagi dushwaar ho jaaye
By Asghar Gondvi
LP
2
Re: agar aasaaniyan ho zindagi dushwaar ho jaaye
Asaniyon se zindagi dushwar hogi....
Tou mushkilon se asan hogi ?
Re: agar aasaaniyan ho zindagi dushwaar ho jaaye
zindagi main yaksaniyat aa jae to zindagi dushwar hojati hai....
wo nahin suna: Ja khuda tujhe kisi toofan se hamkinaar kare
Mera khyal hy zindagi me yaksaniat a jaye to zindagi bore hojati hy thori halchal honi chahye
LP
5
Re: agar aasaaniyan ho zindagi dushwaar ho jaaye

Good to enjoy sub kuch…
Re: agar aasaaniyan ho zindagi dushwaar ho jaaye
[QUOTE]
chala jaata hoon hansta kehlta mauj-e-hawadish se
agar aasaaniyan ho zindagi dushwaar ho jaaye
[/QUOTE]
Bohat Khoob......
Nain
7
Re: agar aasaaniyan ho zindagi dushwaar ho jaaye
