**Nisaar main teri galiyon peh ay watan, kay jahan **
Chali hai rasm keh koi na sar utha keh chalay
Jo koi chahane wala tawaaf ko nikalay
Nazar chura keh chale, Jismo - jan bacha keh chalay
**Hai ahel-e-dil ke liyay ab yeh nazm-e-bast-o-kushaad **
**Keh sang-o-khisht muqayyad hain aur sag aazad **
Bahut hain zulm keh dast-e-bahana-ju keh liyay
**Jo chund ahel-e-junoon tere naam leva hain **
**Baney hain ahel-e-hawas muddai bhi, munsif bhi **
**Kise wakil karen, kis-se munsifi chahen **
**Magar Guzaaranay walon ke din guzarate hain **
**Tere firaq mein yun subah-o-shaam karatay hain **
Bujha jo raozan-e-zindan to dil yeh samajha hay
**Keh teri maang sitaron se bhar gai hogi **
**Chamak uthe hain salasil to humne jaana hai **
**Keh ab sahar tere rukh par bikhar gai hogi **
Gharaz tasawur-e-shaam-o-sahar mein jeete hain
**Giraft-e-saaya-e-diwaar-o-dar mein jeete hain **
**Yuhin hamesha ulajhati rahi hai zulm se khalq **
**Na unki rasm nai hai, na apni reet nai **
**Yuhin hamesha khilaye hain humne aag mein phool **
**Na unki haar nai hai na apni jeet nai **
**Isi sabab se falak ka gilaa nahin karatay **
Tere firaq mein hum dil bura nahin karatay
**Gar aaj tujhse juda hain to kal baham hongay **
**Yeh raat bhar ki judai to koi baat nahin **
**Gar aaj auj peh hai taal-e-raqib to kya **
**Yeh chaar din ki khudai to koi baat nahin **
**Jo tujhse ahad-o-wafa ustuvaar rakhate hain **
Ilaaj-e-gardishe lailo-nihaar rakhate hain.