Nisaar main teri galiyon peh ay watan, kay jahan
Chali hai rasm keh koi na sar utha keh chalay
J**o koi chahane wala tawaaf ko nikalay
Nazar chura keh chale, Jismo - jan bacha keh chalay**
Hai ahel-e-dil ke liyay ab yeh nazm-e-bast-o-kushaad
Keh sang-o-khisht muqayyad hain aur sag aazad **
**
Bahut hain zulm keh dast-e-bahana-ju keh liyay
**Jo chund ahel-e-junoon tere naam leva hain **
**Baney hain ahel-e-hawas muddai bhi, munsif bhi
Kise wakil karen, kis-se munsifi chahen **
**Magar Guzaaranay walon ke din guzarate hain
Tere firaq mein yun subah-o-shaam karatay hain **
**Bujha jo raozan-e-zindan to dil yeh samajha hay
Keh teri maang sitaron se bhar gai hogi
Chamak uthe hain salasil to humne jaana hai
Keh ab sahar tere rukh par bikhar gai hogi **
**Gharaz tasawur-e-shaam-o-sahar mein jeete hain
Giraft-e-saaya-e-diwaar-o-dar mein jeete hain **
**Yuhin hamesha ulajhati rahi hai zulm se khalq
Na unki rasm nai hai, na apni reet nai
Yuhin hamesha khilaye hain humne aag mein phool
Na unki haar nai hai na apni jeet nai
Isi sabab se falak ka gilaa nahin karatay
Tere firaq mein hum dil bura nahin karatay
**
**Gar aaj tujhse juda hain to kal baham hongay
Yeh raat bhar ki judai to koi baat nahin
Gar aaj auj peh hai taal-e-raqib to kya
Yeh chaar din ki khudai to koi baat nahin
Jo tujhse ahad-o-wafa ustuvaar rakhate hain
Ilaaj-e-gardishe lailo-nihaar rakhate hain.**