Zindgi kay safar main Koi sahara na milla
Toofaan kay zor main koi kinara na milla
suna hay waqt doh’raata hay apnay aap ko
mujhay tou kahin beeta kal dobara na milla
dekh kar jisay jeenay ko jee chahey
mudat say dekhnay ko aesa nazara na mila
mujh pay toot kar barsay jo ik baar
aesa kahin badal koi awara na milla
socha tha ASIF aaj marnay ki Dua mangain gay
Afsos! Asman par toot’ta koi taara na milla