Afkaar-e-Iqbal say Iqtabaas

Dar masafi paish aan gardoon sareer
(Zamanay nay aisa palta khaya)

Dukhtar-e-Sardaar Ti* aamad aseer

(Ti kay sardaar ki beti ghulaam bana li gayi)

Pa-e dar zanjeer wa hum bi parda bood

(Paoon main zanjeer thhi ayr woh bay parda thhi)

Gardan az sharam-o-Haya kham karda bood

(Us nay apni gardan Sharm-o-Haya say jhukayi howi thhi)

Dukhtarak ra choon Nabi :sw: bi parda deed

(Sardaar ki beti ko jub Rasool ullah :sw: nay bai parda dekha)

Chadar-e-Khud paish rawi oo kasheed

(Apni chadar uskay chehray (wajood) par phela di)

Ma az aan Khatoon-e-Ti Uriyaan tareem

(Agar Ti ki yeh khatoon bay parda rahi)

Paish-e-Aqwaam-e-Jahan bi chadaraim

(Aanay wali tamam Qaumain bay parda aur bay libaas rahain gi)

(*Qabeela Bani Tay ka sardaar Hatim, jo apni fayazi ki wajah say mashhoor thha)

Re: Afkaar-e-Iqbal say Iqtabaas

Very Nice… Thanks for Sharing :flower1:

Re: Afkaar-e-Iqbal say Iqtabaas

Thanks GS. I am working on his Persian poetry now a days. As you can see I wrote the translation also. I will write his persian poetry with translation in my journal so every one can understand his messege which he wrote in that language.

Re: Afkaar-e-Iqbal say Iqtabaas

Thanks for the Effort… :k:

Do Post it here as welll … :slight_smile:

Re: Afkaar-e-Iqbal say Iqtabaas

I have written another part in the journel, actually its the start of "Asraar-e-Khudi". And which I typed earlier is from middle of the poem. Its too long but as I said, I am working on it.:)

Here are the starting lines.

Nuqta-e-Noori keh naam-e-oo khudi ast
(Aik roshan nuqta hai jiska naam Khudi hai)

Zair-e-khaak-e-maa sharaar-e-zindagi ast
(Jis ki mati kay neechay zindagi ka shola chhupa hai)

Az mohabbat mi shawad painda tar
(Is say Mohabbat aur paidaar hoti hai)

Zinda tar, Sozinda tar, Tabinda tar
(Zinda hoti hai, aur soz-o-godaaz, aur Roshan hoti hai)

Az Mohabbat ishteyaal joharish
(Mohabbat is kay johar say roshan hoti hai)

Irtaqayi mumkinaat muzmarish
(Is say is ki poshida cheezoon ko taraqi milti hai)

Fitrat-e-oo Aatish andoz za ishq
(Us ki fitrat ishq say aag jama/haasil karti hai)

Aalam afrozi beyamozad za ishq
(Duniya ishq say roshan karna seekhti hai)

Ishq ra az taigh-o-khanjar baak neest
(Ishq ko talwaar aur khanjar ka darr naheen)

Asl ishq az aab-o-baad-o-khaak neest
(har cheez ki asl Ishq hai, paani, huwa aur mati naheen)

Re: Afkaar-e-Iqbal say Iqtabaas

Thanks… again :flower1: