Kinzz
1
ae zindagi tu hi bata
khoya hai jo paaun kahan
har bhool ko maafi mile
roothe palon ko main laaun mana
aankhen bhi khuli, maalum tha sab,
sab kuch hote dekh raha tha main
phir bhi na kuch bhi roka maine
jaane kis leher baha tha maine
kaash ye sab ik khwaab hi ho
aankh khule to sab theek mile
bojh ye ban ke jaaye utar
dil ye mera phir se khile
ae zindagi tu hi bata
khoya hai jo paaun kahan
har bhool ko maafi mile
roothe palon ko main laaun mana
Re: aey zindagi tu hi Bata
kaash ye sab ik khwaab hi ho
aankh khule to sab theek mile
bojh ye ban ke jaaye utar
dil ye mera phir se khile
Hamari zinadi main CTRL+ Z nahin hota, iss liye zindagi ko her haal main hosle se jeena chahiye
TlGER
3
Re: aey zindagi tu hi Bata
aj kinz nay agli peechli kasar nikalni hai shairi post karnay ki
Re: aey zindagi tu hi Bata

TlGER
5
Re: aey zindagi tu hi Bata
very nice :k: