Aey shama-e-kooyay jaanaan,
hai tez hawa, maana
lau apni bacha rakhna - raston pay nigah rakhna
Aisi hi kisi shab main
aayay gaa yahan koi, kuch zakhm dikhaanay ko
ik toota hua waada, mitti say uthaanay ko
Pairon pay lahoo us kay
aakhon main dhuwaan ho ga
chehray ki dararon main
beetay huay barson ka
aik aik nishaan ho ga
bolay gaa na kuch laikin, faryaad-kunaan ho ga
Aey shama-e-kooyay jaanaan
wo khaak basar raahi - wo sokhta parwaana
jab aayay yahan us ko maayoos naa lautanaa!
ho taiz hawa kitni, lau apni bacha rakhna
raston pay nigah rakhna - raahi ka pataa rakhnaa,
Iss bhaid bhari chup main ik phool nay khilnaa hai!
Uss nay inhi galyon main, ik shaks say milnaa hai!
(Amjad Islam Amjad)
Re: Aey shama-e-kooyay jaanaan,
its very beautiful......very. I wish I could meet AIA :)
Re: Aey shama-e-kooyay jaanaan,
Aey shama-e-kooyay jaanaan, hai tez hawa, maana lau apni bacha rakhna - raston pay nigah rakhna Aisi hi kisi shab main aayay gaa yahan koi, kuch zakhm dikhaanay ko ik toota hua waada, mitti say uthaanay ko Pairon pay lahoo us kay aakhon main dhuwaan ho ga chehray ki dararon main beetay huay barson ka aik aik nishaan ho ga bolay gaa na kuch laikin, faryaad-kunaan ho ga Aey shama-e-kooyay jaanaan wo khaak basar raahi - wo sokhta parwaana jab aayay yahan us ko maayoos naa lautanaa! ho taiz hawa kitni, lau apni bacha rakhna raston pay nigah rakhna - raahi ka pataa rakhnaa, Iss bhaid bhari chup main ik phool nay khilnaa hai! Uss nay inhi galyon main, ik shaks say milnaa hai! (Amjad Islam Amjad)
AIA is never short of magical stuff. A true master of poetry. Thanx deep_ocean for sharing it with us :)
Re: Aey shama-e-kooyay jaanaan,
thanks JW
Thanks Amal
:)
Re: Aey shama-e-kooyay jaanaan,
Amjad always rocks man :) thanks for sharing it with us :)