Aey hawa!!
Us say kehna
Sansain tou muntazir ab bhi hain
Lab usay pukartay ab bhi hain
Aansoo us naam pe behtay ab bhi hain
Aey hawa!!
Us say kehna
Woh muhabbat jo zamanay say chupaee na gaee
Yeh aur baat keh usay batlaee na gaee
Woh ishq ki manzilain qaaim ab bhi hain
Aey hawa!!
Us say kehna
Ishq say wafa tak k sabhi silsalay
Jo hum donon ki chahton mein rahay
Wo sisalay mumkinat mein ab bhi hain
Aey hawa!!
Usay kehna
Mai janti hoon wo jo guzra kal hay mera
Mai manti hoon wo aanay wala kal nahi mera
***Magar…! ***
Aey hawa!!
Usay kehna
***mai aur mera yeh dil ***
Us ki dastaras mein ab bhi hain!!!