Zindagii ka har dukh insaaN ba-Aasaani seh letaa hay,magar zindagii kay roothenay ka dukh sehnaa buhat mushkil hay ![]()
Aek insaan kay jaanay say
Maut aTal haqeeqat hay
Aur hazaaron logon ko
Saath apnay lay jaati hay
Par kabhi kabhi hota hay aesaa
Wuh insaan jis ko mout apnay
Saath lay kar adam ko jaati hay
Uss insaan kay liyey saenkRon dilon mein
Sirf pyaar hi pyaar hotaa hay
Aur uss aek insaan kay jaanay say
Yuun mehsoos hotaa hay jaesay
SaenkRon insaan chalay gaey…