Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya…
**salaam Amal Bhai,
aapkii nai Ghazal paRh kar nihaayat maHzooz huaa…lutf aa gayaa. aapkii shaa’iri meN aapkaa ek apnaa hii andaaz aur rang miltaa hai…saadgii e bayaan aur parvaaz e Khayaal kaa taal mel baRii chaabuk-dastii se nujood meN laate haiN…kitnii ham-aahangii hotii hai…mashaa Allah…Allah kare zor e raqam aur ziyaada. mundarjah zel nisbatan ziyaada pasand aaye. share karne ke liye shukria.**