Re: Ae Umr e Rawan Aahista chal…
Bohat Khoob…:k:
**
Waqt se kon kahay yaar zara ahista
gar nahin vasal to yeh khuwaab-e-rafaaqat hi zara dair rahay
waqfa-e-khuaab ke paaband hain
jab tak ham hain
yeh jo toota to bikher jaaeyn ge saaray manzar
(teergi-zaad ko moj hai fana ki taleem)
hast aur naist ke maabain agar
khuwaab ka pal na rahay
kuch na rahay
waqt se kon kahay
yaar zara aahista…**