Doston Adaab
Is nazam ka maqsad apnay mulk kay talib e ilm ke aankhon per say patti hatana thaa.Is nazm ka maqsad unko hosh main lana hay agar kisay sahab ya sahiba ko bura lagay to tanqeed kernay ka poora haq hasil hay.
Ae Talib-e-Ilm Tu Meri Baat Sun Lay…
Zara Aqal Kay Tu Nakhun Lay…
Yeh Siasat Tujhay Kahan Lay Jai Gee…?
Yeh To Behno Kay Bhai Nigal Jai Gee…
Tu To Koi Maazi Nahin Haal Hai…
Dil Ka Tukda,Maa Kaa Laal Hai…
Yeh Kia Tu Nay Quaid Quaid Lagai Hai…?
In Hee Peer-o-Quaid Nay Tujhay Aag Lagai Hai…
Agar Jawani Per Tumhain Itna Hee Gharoor Hai…
To Phir Bahar Nikal Tu Kion Mafroor Hai…?
Azad Mulk Main Bhi Tu To Ghulam Hai…
Apnay Quaid Kee Shaam Ka Tu Ek Jaam Hai…
Tu Kia Is Mulk Kee Baag Daur Sanbhalay Gaa?
Ek Din Tu Apnay Bhai Ko Bhi Maar Daalay Gaa…
Yeh Siasat To Abhi Tere Bus Kee Nahin…
Teri Jaan Abhi Itnee Sastee Nahin…
Agar Dum Hay To Tipu Sultan Bun…
Zulm-o-Sitam Kay Aagay Ek Chittan Bun…
Garaj Itnee Taqat Say Kay Tujhay Duniya Daikhay…
Aisay Hee Khwab Teri Maan Nay Thay Daikhay
Shr
Schaa Hussain Rabbani