** ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de
ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de
tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine
aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de
aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin
meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de
[QUOTE] Originally posted by Swera: *
* ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de
ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de
tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine
aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de
aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin
meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de
**
[/QUOTE]
i love this ghazal...jab bhi sunta hoon ek alagh se mahaul mein paata hoon apne aaap ko :)
**Tujhe apna nahin sakta, magar, itna bhi kya kam hai ki
Do ghadiyan tere khwabon mein khokar jee liya maine.
Pyar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi,
Yeh bata de ki tujhe pyar karoon ya na karoon,
O mere khwabon ke jharokhon ko sajaane waali,
Tere khwaabon mein kahin mera guzar hai ki nahin,
Pooch kar apni nigaahon se bata de mijhko,
Mere raaton ke mukaddar mein sehar hai ki nahi,
Pyar par bas to nahin hai.
** ye to nahiN ke gam nahiN
haaN meri aaNkh nam nahiN
tum bhi to tum nahiN ho aaj
hum bhi to aaj hum nahiN
ab na khushi kee hai khushi
gam ka bhi ab to gam nahiN
maut agar che-maut hai
maut se zeest kam nahiN
Tere barein mein jabh soncha nahi thaa.
Main tanha thaa magar itna nahi thaa.
Teri tasveer se karta thaa batein
Mere kamre mein aaina nahi thaa
Samandar ne bhi mujhe pyasa he rakha
Mein jabh sehra mein thaa pyasa nahi thaa
Roothne manane ke iss khel mein hum
Yoon bichad jayeinge soncha nahi thaa
Suna hai kal usne kar li bandh aankhen
manzil na de, charaag na de, hauslaa to de
tinke ka hi sahee, tu magar aasraa to de
maiNe ye kab kaha, ke mere haq meiN ho jawaab
lekin khamosh kyooN hai, tu koi faislaa to de
barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb
mere khuda kahaN hai, tu apna pata to de
beshaq mere naseeb pe, rakh apnaa ikhtiyaar
lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de