Ae ishq humein barbaad na kar

*** one of my favourites

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

  • hope you enjoy it too …
Ae ishq humein barbaad na kar
Ae ishq na chayr aa kay humein
Hum bhulay hoowo_oN ko yaad na kar
Paylay hee boath nasaaz hein hum
Tu aur humein naa_shaad na kar
Kismet ka sitam hee kam nahin kuch
Yay thazaa sitam ijaad na kar
Yuun zulm na kar – baydaad na kar

Raat_uN ko utTh utTh kar rotay hein
Ro Ro kay duwaiN kartay hein
Ankhun mein tasavaar 
Dil mein khalish 
Sar ghumthay hein 
Aay_hein bhartay hein
Ae ishq yay kaysa roagh hey baa
Jinaay hey na salim martay hein
In khawaabu_n say yuuN azaad na kar

Jis din say banaa hey dayaan tera
Ghabrai hoowai say raytai hein
Har waqt tasavar kar kar kay
Sharmai hoowai say raytay hein
Ghumalai hoowai phuluun ki tarah
Ghumalai hoowai say raytay hein
Amaal na kar
Baidaad na kar***

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

------------------
*Make yourself a better person and know who you are before you try and know someone else and expect them to know you...*

very nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

thanko for sharing

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


MÙhb@t kÀ ÃnÒkhå SîÌSîÎã Hãï
KÆhî ý@$®Úb Káhï kîBàÎå H@ï

**
bohot khooob m_isabah ji

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

nice post

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

**


I am like an Open Book Except for the few pages of my past, My life is an empty book. It takes the shape of a mystery, To me it does at least. For I cannot tell what happens next, Too many cliffhangers and too much suspense. But its clues all lead eventually to the same place, Unfortunately it does not say where. It only says get the next book, For in this one you’ ve ran out of room.

Nice!
neyara noor nay gaeya hay na issay???

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

love it…
one of my all time favourites too…
great listening…aah…going to go
listen now

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


Kay hum tu Dhoop main baarishh kay woh qatray hain jo gir ker, dar-o-deevar per hi sookh jaatay hain…

… jee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

… do you know who the poet is?


Make yourself a better person and know who you are before you try and know someone else and expect them to know you…

Buhat hee achee ghazal hai..raaton kee neendein haram karne ke liye kaafee hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

I love it and fond of listening it when I am down. I remember it has been posted here some times in recent past. Thanks for re-posting it

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

very nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Poet name Akhtar Sheerani

Bohot khoob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Ji this is written by Akhtar Sheerani and Complete Poem/Ghazal khuch iss thruaha say hay…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n
ham bhuule huo.n ko yaad na kar
pahale hii bahut naashad hai.n ham
tuu aur hame.n naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh
ye taazaa sitam ijaad na kar
yuu.N zulm na kar bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

jis din se mile hai.n dono.n kaa
sab chain gayaa aaraam gayaa
cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii
aa.Nkho.n se faroG-e-shaam gayaa
haatho.n se Khushii kaa jaam chhuuTaa
ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa
GamGii.n na banaa naashaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

raato.n ko uTh uTh rote hai.n
ro ro kar duaaye.n karate hai.n
aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Khalish
sar dhunate hai.n aahe.n bharate hai.n
ai ishq ye kaisaa rog lagaa
jiite hai.n na zaalim marate hai.n
ye zulm to ai jallaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

ye rog lagaa hai jab se hame.n
ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo
har vaqt tapish har vaqt Khalish
be-Khvaab huu.N mai.n bedaar ha vo
jiine se idhar bezaar huu.N mai.n
maranbe pe udhar tayyaar hai vo
aur zabt kahe fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

bedard zaraa insaaf to kar
is umr me.n aur maGmuum hai vo
phuulo.n kii tarah naazuk hai abhii
taaro.n kii tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj Gazab
majabuur huu.N mai.n mazaluum hai vo
mazaluum pe yuu.N bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

ai ishq Khudaaraa dekh kahii.n
vo shoKh hasii.n badanaam na ho
vo maah-e-laqaa badanaam na ho
vo zohraa-jabii.n badanaam na ho
naamuus kaa us ko paas rahe
vo pardaa-nashii.n badanaam na ho
us pardaa-nashii.n ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

ummiid kii jhuuThii jannat ke
rah rah ke na dikhalaa Khvaab hame.n
aa_iindaa ke farzii ishrat ke
vaade se na kar betaab hame.n
kahataa hai zamaanaa jis ko Khushii
aatii hai nazar kaamayaab hame.n
chho.D aisii Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

do din hii me.n ahad-e-tifalii ke
maasuum zamaane bhuul gaye
aa.Nkho.n se vo Khushiyaa.N miT sii ga_ii.n
lab ke vo taraane bhuul gaye
un paak bahishtii Khvaabo.n ke
dilchasp fasaane bhuul gaye
un Khvaabo.n se yuu.N aazaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

aa.Nkho.n ko ye kyaa aazaar huaa
har jazb-e-nihaa.N par ro denaa
aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa
aavaaz-e-fuGaa.N par ro denaa
barbat kii sadaa par ro denaa
mutrib ke bayaa.N par ro denaa
ehasaas ko Gam buniyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

jii chaahataa hai ik duusare ko
yuu.N aaTh pahar ham kare.n
aa.Nkho.n me.n basaaye.n Khvaabo.n ko
aur dil ko Khayaal aabaad kare.n
Khilvat me.n bhii jo jalvat kaa saamaa.N
vahadat ko du_ii se shaad kare.n
ye aarazuue.n ijaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

vo raaz hai ye Gam aah jise
paa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
aa.Nkho.n se jab aa.Nsuu bahate hai.n
aa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
zaalim hai ye duniyaa dil ko
yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Khair nahii.n
hai zulm magar fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa
GamGii.n sii hai betaab sii hai
ummiid yahaa.N ik vaham sii hai
taskiin yahaa.N ik Khvaab sii hai
duniyaa me.n Khushii kaa naam nahii.n
duniyaa me.n Khushii nayaab sii hai
duniyaa me.n Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

W@H … Buhat Khoob ..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


I’m Gonna Be The Champ
The Way I Wanna Be

Rude Boyz Rulez

m-isabah thanx for starting Amjad

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

for finishing

can anybody post ghazal it self by Nayara noor

.. see your pm

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


Make yourself a better person and know who you are before you try and know someone else and expect them to know you…

thank you all

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

if anyone wants to hear the ghazal on the net they can go to muziq.net

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


Make yourself a better person and know who you are before you try and know someone else and expect them to know you…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

thanx

bohat ghoob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

thanks for sharing

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


wo poochtay rahay main sunati chali gaye
kholay hay raaz jaise koi raazdaan kay saath