Ae ishq hamain barbaad na kar, hum bhoolay huon ko yaad na kar
Pehlay hi bohat nashaad hain hum, tu aur hamain nashaad na kar
Qismat ka sitam hi kam to nahi, yeh taaza sitam eejad na kar
Yuun zulm na kar baydaad na kar
Ae ishq hamain barbaad na kar!
Jis din say milay hain, donno ka sab chain gaya araam gaya
Chehron say bahar-e-subah gai, aankhon say farogh-e-shaam gaya
Hathon say khushi ka jaam chhuta, honton say hansi ka naam gaya
Ghamgeen na bana, naashaad na kar
Ae ishq hamain barbaad na kar!
Woh raaz hai yeh gham, aah jisay paa jayay to khair nahi
Aankhon say jab aansoo behtay hain aajayay koi to khair nahi
Zaalim hai yeh duniya, dil ko yahan koi bha jayay to khair nahi
Hai zulm magar faryaad na kar
Ae ishq hamain barbaad na kar!
Duniya ka tamasha dekh liya, ghamgeen si hai baitaab si hai
Umeed yahan ik weham si hai, tasqeen yahan ik khuwaab si hai
Duniya main khushi ka naam nahi, duniya main khushi nayaab si hai
Duniya main khushi ko yaad na kar
Ae ishq hamain barbaad na kar
Ae ishq hamain barbaad na kar, hum bhoolay huon ko yaad na kar
Pehlay hi bohat nashaad hain hum, tu aur hamain nashaad na kar
yes aap ki ghazal poetry or kuch ! hairaan honay ki kia baat hai arif sahab!ghaliban aap hi arifnawaz hain jinhoon nay ye ghazal poetry aye ishq hamay barbaad na kar post ki hai!!