Re: Advertisements on GS
aap zehn-e-mubarak ko itnay uljhao main mat daalain... unhon nain sub ka nuqta-e-nazar poocha hai. ab ye ho sakta hai kay aik say zayada log aik hi khayal kay haami hoon... aur ye zarb-ul-imsaal ka istemaal kuch kam kar dain :p
waisy oopar jo aap ki urdu ki tareef hoi thi wo dil rakhnay ko ki thi bazurgwaar nain... aap ussi khushi main pay-dar-pay ghalat fiqraat likh rahi hain :p
p.s. main aap ko "A" lafz kehta kehta reh gaya... ain waqt pay yaad aa gaya kay iss taqseer pay hukkaam-e-bala say shikayat kar dain gi aap
p.s.2 chorain tamatar sanmbhaal kar rakhain... hum to wiasy bhi aap kay nishaanay ki pohanch say nikal jaain gey iss post ki gustakhi kar kay