ik vahem tha dil mein shayad kabhi milo tum
kuch der ruk ke puchho beeten dino ka mausam
awaaz mein ho larzish awaaz mein tajassus
maazi ka koi lamha shayad atak gaya ho
sab bhool kar bhi shayad kuch yaad aa gaya ho
phir mae tumhe bataun apni khushi ki baatein
har dukh ko chhupa ke dil mein, asoodghi ki batein
wo chaand chaudhvi ka taaron bhari wo aankhein
dilkash haseen shamein masoom wardatain
vo pyaar ka tasavvur vo bandagi ki baatein
vo roz roz marna aur zindagi ki baatein
tum dukh se muskurao, dheere se muskurao
dheerey se paas aao sar ko jhuka ke apne
chup chaap loot jao ***
phir main bhi muskuraun
mann ke diye jalaun
dohraun apne dil mein
taa’lluq se haqeeqat
*** ik khwaab zindagi ka
haan umr bhar jo dekha
kabhi ho saka na puura
***yunhi reh gaya adhuura ***
ik khwaab zindagi ka
UNKNOWN POET.