Adhori batain!!!

Adhori batain hi zindagi hain
wo guzri batain hi zindagi hain
agrchay dill ki ujri hoi ruton main
bikhar gaye hain
kaye zamanon se sari batain
wo guzri batain
sulagti shamon k jaltay bujhtay alao hi mai
pigal gaye hain
adhori baatain!!!
zarori baatain!!
yay khushk hoti hoye ragon ki siya qabron main neem murda
dasi hoye khwahishon k hamrah
gundhi hoye hain
yay aankh ki putliyon main thak k
khatakti palkoon par so gayin hain
tamam batain durast hain
tamam khadshay baja hain lekin
har ik imkan-e-zindagi main
ragoon main or rooh ki zameen main
unhi ki yadain bhatak rahi hain
unhi ke dum se zaeef jazboon,thithartay lafzon
bujhi tamanaon mei ramaq ha
adhori batain hi zindagi hain
wo guzri batain hi zindagi hain
khayal rakhna!!!
adhori baatain bhula na dena
woh guzri batain bhula na dena
zarrori baatain!!!
wo guzri baatain bhula na dena
khayal rakhna…
khayal rakhna…!!!


“Don’t be shallow by saying: if people do good, we will do good; and if they do wrong, we will do wrong; but accustom yourselves to do good if the people do good, and not to do wrong if they do wrong.”

[This message has been edited by Gemini the Great (edited February 10, 2002).]

adhori baatain!!!
zarori baatain!!
.
.
.
.
wo guzri baatain bhula na dena
khayal rakhna.....
khayal rakhna...!!!!

Nice Post GTG


ye aap ham to bojh hai.n zamiin kaa
zamii.n kaa bojh uThaane vaale kyaa hue

nice GTG

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

very nice


Hasta la vista, baby

[This message has been edited by Arnold Shalwaar Nicker (edited February 11, 2002).]

[quote]
Originally posted by Gemini the Great:
**wo guzri baatain bhula na dena
khayal rakhna.....
khayal rakhna...!!!!

**
[/quote]

kabi nehin bhula'on gee ;-)
really nice yar...

very nice poem sona

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif


~~~~~~~~
phiRa aj haq kaliye jaa’N fida karay koi
wafa bhi jhooM uthay yo wafa karay koi
nimaaZ 14 sadi se hai muntaziR logo|
HussaiN ke tarha aye ada karay koi
~~~~~~~~~

~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~*