*
Ussay mein ne likha thaa ke
Lehjay baraf hojayain tau pighla nahe kartay
Parinday darr ke urr jayain
Tau phir lauta nahe kartay
Ussay mein ne likha thaa
Yakeen uth jaye tau shayad
Kabhi waapis nahe aata
Hawa'aoun ka koi toofaan
Kabhi baarish nahe laata
Ussay mein ne likha thaa
Ke sheesha toot jaye tau
Kabhi phir jurr nahe paata
Jo rastay se bhatak jaye
Woh wapis murr nahe paata
Ussay kehna woh adhoora khat
Ussay mein ne hi likha thaa
Ussay kehna ke deewanay
Mukammal khat nahe likhtay ...
Re: ~~ Adhoora Khat ~~
buhut khoob :)
Re: ~~ Adhoora Khat ~~
Thanks Daanie
Re: ~~ Adhoora Khat ~~
adhura khat has all the dimensions of completeliness,well written.
Re: ~~ Adhoora Khat ~~
Thanks SA
Re: ~~ Adhoora Khat ~~
Udhoora khat
… bhai rulla rulla kar maro gaiy kia ![]()
Re: ~~ Adhoora Khat ~~
*
Aap kehtay thay rone se na badlenge naseeb
Umer bhar aap ki is baat ne rone na diya ...
*