Adeem Hashmi - Ghazal

Kaha Sathi Koi Dukh Derd Ka Tayyar Kerna Hay?
Jawaab Ayaa Kay Ye Derya Akailay Paar Kerna Hay

Kaha Her Rasta Baksha Hay Na-hamwar Kyun Mujh Ko?
Jawaab Aya Her Rasta Tujhay Hamwar Kerna Hay

Kaha Kiya Taigh Uthani Hay GHaneemoon Nay Ghaneemoon Per?
Jawaab Aya Kay Yaroon Nay Bhee Chup Chup Kay War Kerna hay

Kaha Kyun Samnay Chamka Diya Itna Bara Sooraj?
Jawaab Aya Humain Saya Pas-e-dewaar Kerna Hay

Kaha Lafzoon Say Pholoon Ki Mehak Anay Laggi Kaisay?
Jawaab Ayaa MUhabbat Ka TUjhay Izhaar Kerna Hay

Kaha Mujhko Banaya Hay Tu Phir Ye Doosray Kyun Hain?
Jawaab Ayaa Kay Tujhko Doosroon Say Piyar Kerna Hay…

Kaha Main Ladla Tera Hoon Main, Matti Main Kyun Utroon?
Jawaab Ayaa Kay Sub Ko Ye Sumander Paar Kerna Hay

Re: Adeem Hashmi - Ghazal

Buhat Achi Nazm Hai.. Pichhlay Dinon Mainay Socha Tha K Main Ye Post Karonga.. But Aap Ne Muun Ki Baat Chheen Li... :)

Good Goin..

PS: fara Aise Nazm Ko Hum Mukalmati Nazm Kehtay Hain.. hope U wont mind

Re: Adeem Hashmi - Ghazal

Umda :k:

Re: Adeem Hashmi - Ghazal

Excellent ghazal fara :k: Pehley bhi kai baar post hui hey, lekin har baar aek alag hi maza hota hey is meiN. A treat always :slight_smile:

Re: Adeem Hashmi - Ghazal

Nice Poem :k:

Re: Adeem Hashmi - Ghazal

bohat khoob :)

Re: Adeem Hashmi - Ghazal

Thanks everyone!

Re: Adeem Hashmi - Ghazal

Good one :)

Re: Adeem Hashmi - Ghazal

yeh ghazal hai "laal shanakht" sahab

Re: Adeem Hashmi - Ghazal

wondful fara jee
kia baat hai

Re: Adeem Hashmi - Ghazal

nice miss fara