this is a very special dedication for a very special person called SID. this is in appreciation of his friendship which fills my life with much warmth and happiness. may u always be happy Sid! ![]()
**usse tashbeeh ka doon aasra kya
wo khud ik chaand hei phir chaand sa kya
ulat jaati hei soorat aa’ine mein
dikhaye ga haqeeqat aa’ina kya
barhana ho gayen hein zakhm kya kya
sawera shaam-e-gham ka ho gaya kya
qayamat ho gaya chalna bhi mujhko
palat ker dekhna bhi tha tera kya
zubaan ehsaas ki suukhi huwee thi
badalta mausamon ka zayeqa kya
bahot nazdeek aate jaa rehe ho
bichhardne ka irada ker liya kya
palat ker aa gayen guzre zamane
tumhara naam kagaz per likha kya
tahi mehsoos aankhen ho rehi hein
na jaane aansuuon mei beh gaya kya
bade mohtaat hote jaa rehe ho
zamane ne tumhe samjhaa diya kya
kise takte huwe pathraa gaye ho
khalaon mei tumhara kho gaya kya
bade rangeen sapne aa rahen hein
‘Adeem’ is neend se ab jaagna kya
**