Adam o Hawwa ki Dua!

Muslim ko hai shikayat apnon se aur hai nalaN wo ghairon se
Kiyun phir bhi chhoot’ti nahin hai uski jaan jhamelon se

Na Adam na Hawwa ne thehraya Mulzim Shaitaan ko
Ada kis ne sikhai hai phir ye Musalmaan ko

:hmmm:

Re: Adam o Hawwa ki Dua!

:lajawab:

Re: Adam o Hawwa ki Dua!

kisi ne comment hi nahin diya. I wrote a piece of poetry after 4-5 years.

Re: Adam o Hawwa ki Dua!

Is per like banta hay bus isliey koi comments nahi de raha ,dua is one of my favourite dua!!

Allahuma zid fazid

Re: Adam o Hawwa ki Dua!

waah Muqwee, bahot Khoob...bajaa farmaayaa...kisse seekhi yeh adaa-e-mujrimaana?

Re: Adam o Hawwa ki Dua!

issi ka to suragh lagana hai. Adam se leke Muhammad tak kisi paighambar ne kisi ko mo'ard e ilzaam nahin thehraya. apni kamzori maani, apni khata ko qabool kiya paighambar ho kar bhi. aam Muslamaan main itni ego kiyun hai?

Namaz hum 'Rabbana inni zalamt nafsi pe khatam karte hain' aur jab apni zaban main dua mangte hain to 'ya Allah yahood o nasara ko shikast se dochaar kar' main hi paRe rehte hain.

Re: Adam o Hawwa ki Dua!

Seerah nahi parhi ham ney isliye, masharay se phely fard hay, fard apni islah kary tu mashary ki islah shuru hoti hy, fard he apni ghalti na manay tu islah e mashara nahi hosakta, sari baat yeh hy kay khudh ko sahi karna sub se mushkil hy dosrun per tankeed or ilzam lagana saab se asan or ajj kal intihai asan ham tu yeh bhi karty hain khana bhi dawaton ka khana hy jab pait kharab ho tu khena hy khana mein pata nahi kiya kharabhi thi

Re: Adam o Hawwa ki Dua!

:lajawab:

Re: Adam o Hawwa ki Dua!


bajaa...isii baat ko 'allaamah Iqbal ne yuN farmaayaa thaa:
**
fard qaayam rabt-e-millat se hai, tanhaa kuchh nahiiN!
mauj hai daryaa meN, beroon-e-daryaa kuchh nahiiN!**

Re: Adam o Hawwa ki Dua!

Kionkay isnan kay ander ka nafas uskay ego ko marny nahi deta… :cobra: