**hans ke bolaa karo bulaayaa karo
aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo **
muskurahaT hai husn kaa zevar
ruup barhtaa hai muskuraayaa karo:)
**had se barh kar hasiin lagte ho
jhuuthii qasmen zaruur khaayaa karo **
hukm karanaa bhii ek saKhaavat hai
ham ko Khidamat koii bataayaa karo
baat karanaa bhii baadashaahat hai
baat karanaa na bhuul jaayaa karo
taa ke duniya kii dil_kashii na ghaTe
nit naye pairahan me.n aayaa karo
**kitane saadaa mizaaj ho tum ‘Adam’
us galii me.n bohat na jaayaa karo **