Gham-e-hayat ka hasil kalaam chapna hy ab ,
baray wasooq se ba ihtemam chapna hy ab ,
mera kalaam hy mansob tere nam se payare ,
ye tere nam hy ye tere nam chapna hy ab ,
raha hon abar-e-awara falak falak pe barson tak ,
katay hein gardishon mein subha-o-sham chapna hy ab ,
qadam qadam rahi tishna labi yahan meri humdam ,
kahan kahan mere chalkay hein jaam chapna hy ab ,
meli hy mujh ko sha.eron se azal se ta abad shuhrat ,
dowam jis se hy mujh ko madaam chapna hy ab ,
mehak rahy hein daman mein mere jo nazam k usaaf ,
gazal ho naat ho ya ho salam chapna hy ab ,
wali ho meer ho galab ho daag ho ke ho AKHTAR ,
Adab k shehar mein sub ka mukam chapna hy ab ,