Adaab Tasleemat

su sawateen-o-Hazraat aor unkee hamsheerat. Ikk taweel ghair Hazree kai baad hum nai goshaNasheene tarkk karnai ke soochi, aor idhar ka rukh karr bethai.
Ab jalde jalde apnai ahwaal sunain, kon jiya kon mara, kon apnai piya dess padhara aor kon iss jahan se.

wesse pouchnai se pehlai he hum bata daitai hain, hamre saree bhensain khairiat se hain. MAsha Allah se un pur wazarat-e-behbood-e-Abadi waloon kai Ishteharat ka zara barabar asr nahe huwa, aor din-o-roz apni afzaish-e-nasal mai magan hain. :slight_smile:

Re: Adaab Tasleemat

err?

Re: Adaab Tasleemat

oh lagta hai app ahal-e-sukhan mai se nahe hain. kher hamRai saath masla kuch aysa hai kai hamar aor Inglish ka rishTa kuch aysa he hai jaisa kai Hizbullah ka Mosad se. :-( dunu ke nahe bante

Re: Adaab Tasleemat

Khush Amdeed…

Aap kee khairiat kaa ehwaal jaan kar dil khushi saY sarshaar huaa:blush:

phir tehreer kaa hashiyaa-e-kalaam paRh kar aarizah-e-khifaaqaan huaa

kuch alfaaz kaa tau asar tabiyat par kissi qadar giraaN huaa

beTay, yeh bataao kaY urdu maiN tu kiss tarah pass huaa :naraz:

khawateen ko tu naY jaisaY hee sawaa teen kiyaa
mujhaY tau teraY hissaab maiN bhee baY imaani kaa gumaan huaa

urdu ko baalaeY taaq rakh kar jub lafz-e-“padhaar” nigaah-e-naaz huaa
tau meri urdu kaa mood aalam-e-baalaa “sidhaar” gayaa

aur jub “din-O-roz” kaa tau naY parchaar kiyaa
tau ghalib kaa ik sher jaari-e-zubaaN huaa

arz kiyaa hai:blush:

Baazeecha-e-atfaal hai duniyaa meraY aagaY
hotaa hai shab-o-roz tamasha meraY aagaY

Re: Adaab Tasleemat

tum ko kinara nahee mileye ga, sahil...
itnee muskil urdu kee wejha sey.
thereer achee hey, bila shuba, iss ko perhna aik mohim.
nawazish aur koshamdeed,
dushi

Re: Adaab Tasleemat

*........dush tum ne theek kaha hai:) *

Re: Adaab Tasleemat

:eek:

Re: Adaab Tasleemat

sahil ki tamana :blush:

Re: Adaab Tasleemat

mukarar, qureshi

bohat khoob.

Re: Adaab Tasleemat

is this a poetry thread or smthn?

Re: Adaab Tasleemat

:naraz:

Chacha Ghalib kai zamanai mai, bhensoun ka chara itna giraan na thaa, isss he sabab unko shab-o-roz kai istaimal mai koe mushkIl na thee.
choun kai hakoomat ko bhensoun ke abadi berhnai se koe farq nahe parta, iss sabab basrii aor sooti muhikmaajat mai iska koe ziqr nahee hota.
chounKai humko bhenson ke abadi barhnai kai sabab kafee Muashi mushkilaat ka samna karna parta hai.. iss sabab, hum hur shab apnai BAIL aik alag Ihatayai mai band kur kai rakhTai hain.
umeed hai apko ab Roc-o-Din kai istemaal ka sabab samajh aa giya hu ga.

wesse MAshaAllah, apkee zuban fehmi se dil kafi khush huwa.

Re: Adaab Tasleemat

apka verd phir shuru hu giyaa!

Re: Adaab Tasleemat

:eek: AQ ka double :eek:

Re: Adaab Tasleemat

aap jo phir aagayein hain :cb:

Re: Adaab Tasleemat

Lahola wala Quwata Illa Billa
BheNs kud kaY laY gayee killaa :rolleyes:

Re: Adaab Tasleemat

kaun sa? lahore wala ya qadafi wala?

Re: Adaab Tasleemat

Saaaam-LaiKUm

Re: Adaab Tasleemat

oh hey i had posted in this thread :phati:

Re: Adaab Tasleemat

***errr… come again ? :confused: ***

Re: Adaab Tasleemat

hello unkil :D