Achi nahee lagteen !!!

Shakasta aainoon ke kirchiyaan achi nahi lagteen..
Mujhay wadoon ke khali seepiyaan achi nahi lagteen..

Guzishta raat kay rungoon ka asar daikhoon kay ab mujh ko..
Khullay angaan mein urti titliyaan achi nahi lagteen..

Who kaya ujraa nagar tha jis ke chahat kay sabab ab tuk..
Hari bailoon say uljhee tahniyaan achi nahi lagteen..

Dabbay paoon hawa jin kay charaghoon say bahaltee hoo
Mujhay aisay gharoon kee khirkiyaan achi nahi lagteen..

Bhalay lagtay hain tofanoon say lartay badbaan mujh ko..
Hawa kay rukh pay chalti kishtiyaan achi nahi lagteen..

Yeh keh kar aaj uss say bhee taluq toor aya hoon..
Meri jaan, mujh ko ziddi larkiyaan achi nahi lagteen..!

bahut khoob ji!

:)bhut khoob arif :k:

Re: Achi nahee lagteen !!!

wah ji wah:k:

very nice:k: