Achchaa Hai Ke Tum Bhi Mohobbat Karne Lage Magar
Sunaane Ki Nahi Janaab! Sunane Ki Aadat Daalo.
So Sako To Beshaq Dekho Har Rang Ke Khwaab Magar.
Unmey Khaalis Haqeeqat Ko Aazamaane Ki Aadat Daalo.
Apni-Apni Bulandi Ka Guroor To Laazmi Hai Magar.
Kisi Ki Nazaron Se Kabhi Girne Ki Aadat Daalo.
Haisiyat Ki Apne Numaaish Zaroor Karte Raho Magar.
Tamaasha Ban Jao To Taali Bajaane Ki Aadat Daalo.
Dushmano Ke Tevar To Dekhe Hai Sab Ne Magar.
Apnon Ke Bhi Fhareb Ko Jhelne Ki Aadat Daalo.
Ji-Ji Ke Yahan Marne Vaale Beshumar Log Hai Magar.
Mar-Mar Ke “Arsh” Zindagi Jeene Ki Aadat Daalo.