Bil-aakhir yeh haseen manzar mitta dena hi parta hai
Kisi ke sar ko shaanay se hata dena hi parta hai
Kisi dair aashna ko jhootay sachay kuch hawaloon se
Ta’aruf ke liye sab se mila dena hi parta hai
Jo saansoon mein mehaktay hain, jo aankhoon mein damaktay hain
Achanak ek din un ko bhula dena hi parta hai
Deeyay jo hum jalaatay hain nehaayat shauq se har shab
Unhein khud apni phoonkoon se bhuja dena hi parta hai
Koi jab poochta hai hum se kaisa haal hai ‘Saahil’
Humein mohtaat hokar muskuraa dena hi parta hai
Chamak uth’tay hain Saahil jab sitaaray us ki palkoon per
Ussay dil se laga kar hausla dena hi parta hai
Azad
3
[QUOTE]
.Kisi ke sar ko shaanay se hata dena hi parta hai
[/QUOTE]
aik maray ga nahi to doja khay ga kia ;)
excellent selection .. thanks for sharing ... bhai aaj kia ho raha hay ... lagata hay aaj ka nashta to gia hi gia :(
Re: Achanak ek din un ko bhula dena hi parta hai !!!
:k: :k: :k: :k: :k: :k:
Thanks ** Rani Pakistani, Azad and ghazal kisi ke **
:)
Dilsay
6
Nice
Great..... specially this one...
Quote
Bil-aakhir yeh haseen manzar mitta dena hi parta hai
Kisi ke sar ko shaanay se hata dena hi parta hai
End quote
Dekhna jazbay mohabat ka asar aaj ke raat
Maray shanay par hai us shokh ka sar aaj ke raat...
Nice, Thanks for sharing arif bhai :)
Thanks ** Dilsay, GuL-e-Tasbeeh and Jaan Lewaa** :)