la hasili ka ishq main charcha nahin kia
duniya jo chahti thi tamasha nahin kia
ham maslehat pasand they barbaad ho gaye
jo kuch bhi jis tarah se bhi socha nahin kia
zardar-o-benawa se kia aik sa salook
dil ne koi lehaaz kisi ka nahin kia
"Ker ke dikhai ham ne use bewafai bhi
us ke husool ke liye kia kia nahin kia"
manzar se hat ke kardiya aasan judai ko
is faisle main bhi use tanha nahin kia
khush fehmion main khoob guzar sakti thi magar
ham ne khood apne aap se dhoka nahin kia
yaad us ki itni khoob nahin thi baqoul “MIR”
lakin use bhula ke bhi acha nahin kia