I wud like to dedicate this poem to… ALL ![]()
Hamian ye roz-o-shab ka silsila acha nahi lagta
Kisi se baat karna ho, koi bhi zakhm bharna ho
Kabhi be-haal ho k ku-e-jana se guzarna ho
Tumhari yaad main rehna k khud se mukarna ho
Kisi hurf-e-tasalli se ye dil ka zakhm bharna ho
Muhabbat ki dua honton pay rakh k muskurana ho
Darakhton pay tumhara naam likh k bhool jana ho
tumhari kushbuon se khaema-e-jaan ko sajana ho
Ya phir shehr-e-sakoot-e-shaam-e-gham mein geet gaana ho
younhi bewajha kefiyat mein ashkon ko bahaana ho
Kisi jazbay ka bhi chehra hamein sacha nahi lagta
K ab to roz-o-shab ka silsila acha nahi lagta …